Mujhe lagta tha ki zamaana mujh pe hasta hai,
Sochti thi kyu dil har cheez mein phasta hai,
Yeh rishtey, naatey, dost, bhai sab kya hain?
Kya yeh sirf dil pe ek bala hain?
Lekin ab dil kuch aur hi kehta hai,
Pata nahi mera dhyaan kahan rehta hai..
Ab bhi kuch cheezein samajh mein nahi aati hain
Lekin ab kuch bhi farak nahi padta hai
Kuch baatein hai jo dil ko chu jaati hain
Kuch ehsaas hai jo kisi ko samjha nahi paati hu main
Ab toh sirf prem hi prem dikhta hai
Har aadmi mein pyaar ka andaaz dikhta hai
Ya Allah! Yeh kya kar diya tune?
An har insaan mujhko mere jaisa dikhta hai!